Friday 9 October 2015

Khayaalon Mein Unke

Khayaalon mein khoye unke

Ek khayal aya,

Akhir unke bina to mera
Har khayaal adhoora hai.

Ek shararat jo hai unki hansi mein,
Nigahon mein thodi masoomiyat bhi hai,

Kuchh to hai udhar bhi
Warna hamare dil k dhadakno ki khabar
Unhe kaisi hai ?

Friday 17 April 2015

Har ek pal ke sath




Har ek pal ke sath
Tum aur kareeb aate gaye,
Meri har dhadkan ko
Tum apne naam karte gaye,
Khud ko jitna rokne ki koshish karti,
Khud ko tujhme aur khote chale gaye.

Nhi maloom mujhe
Ki kya hai sahi - kya hai galat,
Bas itni hai khabar
Tum ho wahi jiska tha intezar barson talak,
Adhoori si thi main
Poora sa kar diya tumne jahan mera ab.

Tumse door rehne ka khayal bhi
Ab to nazayaz lagta hai,
Anjani rahon mein chalte huye
Kas k tham lena lo hath mera,
Band rakhne do palkon ko

Sunne do apni dhadkano ko zara.

Sunday 12 April 2015

Ehsas

Alfaz bayan na kar payein
 Jo main kehna chahun,
Door itne hain ki nazron ko
Tum  padh  bhi nhi paao.

Dekhna jo chaho tum
Mere muskate chehre ko,
Bas aaine mein dekh lena khud ko
Mere labon ki muskaan tum hi to ho.

Aankh band kar kuchh pal k liye
Mehsoos kar lena meri sihran ko,
Samet lena khud mein
Mere sare ehsason ko,
Raat bhar sone na diya mujhe
Tumhari un yaadon ko.

Saturday 17 January 2015

Aae mere dil akhir tujhe hua kya hai?

Har baar poochha maine
apne uljhe huye mann se,
Pareshan kyun hai
akhir teri raza kya hai?

Labon ki hansi ban
tu chhaya rehta hai,
par kabhi bheed mein bhi
na jaane kaha kho jata hai?

Tanha hone pe tu
kahin gumsum milta hai,
Aae - mere - dil
akhir tujhe hua kya hai?