Saturday 9 June 2012

Dil k tutne ka ehsas (Hindi)



Dil k tutne ka ehsas
Mujhe bhi pata hai.

Kafi zahodatt se..
Sambhala hua hai khud ko.
Iss baar tuti agar..
Poori tarah bikhar jaungi main.

Ho sake to mujhe..
Apne aagosh mein sama lena,
Mujhe yun..iss kadar..
Bikharne se bacha lena.

Iss khule akaash mein,
Kahin door  tak udne ki..
..tammana thi meri.

Ab aur akele nhi,
..tere sang ....
..ye dooriyan tay karni hai mujhe.

Shukriya jo...
 tumne mujhe samjha,
Toda nhi  kabhi dil tera maine..
..par zaar hua tha mera.

Apne sapno  ko poora karne k liye
Riston ki bediyan nhi chahiye thi mujhe,
Par ab, tere sath chal
..apni manzil tak jana hai mujhe..!!

~ Swati Kumari "swatz"

Kuchh Baatein (Hindi)



Kuchh baatein hain dabi
Dil k tehkhane mein kahin.

Aankon k zariye beh jati hain
Par zubaan pe aati nhi kabhi,

Kaise kahoon tujhse main ye..
Dhadkta hai mera dil bas tere liye.

Khwaabon mein apni..
.. sanjoye hun main tujhe
Mana..haqiqat mein pana ..
..mumkin nhi tumhe.

Khud mujhe nhi maloom..
..aisa hai kyun??
Par kuchh ..
..vaadon mein bandhi hun main..!!

~ Swati Kumari "swatz"

Inkaar karo ya..(Hindi)


Inkaar karo ya..
..Ijhaar karo....
Par kuchh to kaho humse.

Yun saamne baithkar..
..anjaan na bano mujhse.

Yun nazrein churakar apni..
Dil ki baat chhupa nhi sakte.

Bina kuchh kahe..
Keh jaate ho bohot kuchh,
Alfaazon mein pirokar..
Zara jatao to humse..!!

~ Swati Kumari "swatz"

Dil ye dhadka na kabhi..(Hindi)



Dil ye dhadka na ..
Kisi k liye aaj tak,
Na jaane fir aaj...
Kisi pe marne ko..
..kyun majboor huya.

Nazron ka samna na
hota tha kabhi,
na jaane aaj..
wo hamari or hum unki
nazron mein kyun madhosh huye.

Kabhi jo humare
Khayal mein bhi na aya,
Na jaane aaj...
Unke khwaabon mein hi..
..kyun khoye rahe.

Humne kabhi na socha..
Hoga kuchh aisa,
Na jaane aaj..
Ye sochne ko..
..kyun majboor huye..!!

~ Swati Kumari "swatz"