Saturday, 9 June 2012

Dil k tutne ka ehsas (Hindi)



Dil k tutne ka ehsas
Mujhe bhi pata hai.

Kafi zahodatt se..
Sambhala hua hai khud ko.
Iss baar tuti agar..
Poori tarah bikhar jaungi main.

Ho sake to mujhe..
Apne aagosh mein sama lena,
Mujhe yun..iss kadar..
Bikharne se bacha lena.

Iss khule akaash mein,
Kahin door  tak udne ki..
..tammana thi meri.

Ab aur akele nhi,
..tere sang ....
..ye dooriyan tay karni hai mujhe.

Shukriya jo...
 tumne mujhe samjha,
Toda nhi  kabhi dil tera maine..
..par zaar hua tha mera.

Apne sapno  ko poora karne k liye
Riston ki bediyan nhi chahiye thi mujhe,
Par ab, tere sath chal
..apni manzil tak jana hai mujhe..!!

~ Swati Kumari "swatz"

Kuchh Baatein (Hindi)



Kuchh baatein hain dabi
Dil k tehkhane mein kahin.

Aankon k zariye beh jati hain
Par zubaan pe aati nhi kabhi,

Kaise kahoon tujhse main ye..
Dhadkta hai mera dil bas tere liye.

Khwaabon mein apni..
.. sanjoye hun main tujhe
Mana..haqiqat mein pana ..
..mumkin nhi tumhe.

Khud mujhe nhi maloom..
..aisa hai kyun??
Par kuchh ..
..vaadon mein bandhi hun main..!!

~ Swati Kumari "swatz"

Inkaar karo ya..(Hindi)


Inkaar karo ya..
..Ijhaar karo....
Par kuchh to kaho humse.

Yun saamne baithkar..
..anjaan na bano mujhse.

Yun nazrein churakar apni..
Dil ki baat chhupa nhi sakte.

Bina kuchh kahe..
Keh jaate ho bohot kuchh,
Alfaazon mein pirokar..
Zara jatao to humse..!!

~ Swati Kumari "swatz"

Dil ye dhadka na kabhi..(Hindi)



Dil ye dhadka na ..
Kisi k liye aaj tak,
Na jaane fir aaj...
Kisi pe marne ko..
..kyun majboor huya.

Nazron ka samna na
hota tha kabhi,
na jaane aaj..
wo hamari or hum unki
nazron mein kyun madhosh huye.

Kabhi jo humare
Khayal mein bhi na aya,
Na jaane aaj...
Unke khwaabon mein hi..
..kyun khoye rahe.

Humne kabhi na socha..
Hoga kuchh aisa,
Na jaane aaj..
Ye sochne ko..
..kyun majboor huye..!!

~ Swati Kumari "swatz"

Friday, 18 May 2012

ek ajnabee ban gaya apna is safar mein (hindi)


Lamha lamha yun guzar gaya
Itna lamba waqt ..
...do pal mein simat gaya.
Kuchh pal pahle hi to..
Hum ajnabee mile thay yaha  sare
pata bhi na chala or..
kab koi apna bhi ban gaya.

Kitni hi baatein ki humne
Or kuchh, ankahi..
 ..baatein bhi rah gai Dil mein.
Beete pal milte  nhi  loutkar
Jeene ko khusiyan dubara.

Shaitaniyan bhi ki
..jane  anjaane..
gustakhiyan  bhi  ho gai.
Sath chalte chalte..
.. Is safar mein..
Na jane kitne aage nikal gaye
Aur kai peechhe chhut gaye.
Par  kisi k kadam thay..
Jo thahre thay  sirf mere liye.
Kisi k haathon ne mujhe..
Thama hua tha poore safar mein.

Mehfooz paati hun khud ko
Saaye mein  sirf uske.
Abhi to ye ek safar tha..
Tay karna chahti hun main
Apni zindagi ka safar sara.
Sama jana chahti hun bas
Aagosh mein main uske.

~ Swati Kumari "swatz"

Monday, 7 May 2012

walking along with you..(english)



Trying to be strong..
..every time,
to stand stiff  alone
..in the hard storm.

But sometime,I feels..
I am tired of struggling,
in my journey...
........ walking alone.

What make me feels safe..
..is being in your arm.
Which gives me most comfort
..is only your warmth.

I wanna sit beside you
Just to keep ...
..my head on your shoulder
To laugh a lot..
....to laugh like I did never
To say you mine..
without any care..any fear.

Stepping along  with you
Wanna complete...
........ my journey now.
My path was precarious..
..and thorny so far,
Holding your hand..
I’ll cross every ocean and thar.
~ Swati Kumari "swatz"




Friday, 20 April 2012

tujhe sab hai pata na Maa..(hindi)


Maa,

Aaj bhi yaad hai mujhe..
“aati hun tere..
 sapno ko poora kar akele”
..maine hi vaada kiya tha tujhe.

Par..
Zindagi  k is safar mein
Thak chuki hun akele chalte huye.
Raahon mein rok rahe ..
..muskilon se ladte huye.

Mere ye labb  to..
.. asli muskaan  bhi bhool gaye
Roothon ko manate ..
Or sabon  ko hansate huye.

Dil ne dard ko ehsas karna bhi ..
... ab  band  kar diya
Sare  ghamon ko chupate huye.

Kamzor pad gai hun abb
Khud ko majboot karte karte,
Teri godd mein rakh sar..
Sona chahti hun kuchh pal.

Na jaane kitne arson se ..
rok rakha hai khud ko,
Tere aanchal mein chhupkar.
Ro lena chahti hun jee bhar.

Thahar se gaye hain..
..ye kadam mere,
Mujhko baahon  mein bhar apne..
Phir se badhne ka hausala de de.

Kehne ko to bohot hai abhi
Par tujhse kuchh keh nhi sakti.
Ye sab sun ghabraa jayegi..
Kabhi apne dil ka haal nhi kaha
maloom hai mujhe,
...mujh se kahin jada tu toot jayegi.





~ Swati Kumari "swatz"