Friday 18 May 2012

ek ajnabee ban gaya apna is safar mein (hindi)


Lamha lamha yun guzar gaya
Itna lamba waqt ..
...do pal mein simat gaya.
Kuchh pal pahle hi to..
Hum ajnabee mile thay yaha  sare
pata bhi na chala or..
kab koi apna bhi ban gaya.

Kitni hi baatein ki humne
Or kuchh, ankahi..
 ..baatein bhi rah gai Dil mein.
Beete pal milte  nhi  loutkar
Jeene ko khusiyan dubara.

Shaitaniyan bhi ki
..jane  anjaane..
gustakhiyan  bhi  ho gai.
Sath chalte chalte..
.. Is safar mein..
Na jane kitne aage nikal gaye
Aur kai peechhe chhut gaye.
Par  kisi k kadam thay..
Jo thahre thay  sirf mere liye.
Kisi k haathon ne mujhe..
Thama hua tha poore safar mein.

Mehfooz paati hun khud ko
Saaye mein  sirf uske.
Abhi to ye ek safar tha..
Tay karna chahti hun main
Apni zindagi ka safar sara.
Sama jana chahti hun bas
Aagosh mein main uske.

~ Swati Kumari "swatz"

No comments:

Post a Comment