Saturday 9 June 2012

Dil ye dhadka na kabhi..(Hindi)



Dil ye dhadka na ..
Kisi k liye aaj tak,
Na jaane fir aaj...
Kisi pe marne ko..
..kyun majboor huya.

Nazron ka samna na
hota tha kabhi,
na jaane aaj..
wo hamari or hum unki
nazron mein kyun madhosh huye.

Kabhi jo humare
Khayal mein bhi na aya,
Na jaane aaj...
Unke khwaabon mein hi..
..kyun khoye rahe.

Humne kabhi na socha..
Hoga kuchh aisa,
Na jaane aaj..
Ye sochne ko..
..kyun majboor huye..!!

~ Swati Kumari "swatz"

No comments:

Post a Comment