Wednesday, 29 May 2013

Raat ki Karwatein (Hindi)



Wo roomani sham alvida kehne lagi
Fir raat ne bhi tanhai ki chadar sameti ,
Madmast behki un hawaon mein
Gulshan ki kaliyan madhosh hone lagi.



Ek sukoon
Ek ehsas thi us fiza mein,
Chandani roshni mein
Chamakti sunahri reton pe
Samandar k  sang lehrein bhi
Athkheliyan karne lagi.




Viraan hui us raat mein bhi
Sitaaron ki timtimahat bhar gai,
Raat ki gehrai mein
Chand ne bhi  karwatein badali.

~ Swati Kumari "swatz"


1 comment:

  1. nice one..........!!!!!

    i also used to write......but not so good......m really inspired form you.....

    ReplyDelete