Wednesday, 29 May 2013

Raat ki Karwatein (Hindi)



Wo roomani sham alvida kehne lagi
Fir raat ne bhi tanhai ki chadar sameti ,
Madmast behki un hawaon mein
Gulshan ki kaliyan madhosh hone lagi.



Ek sukoon
Ek ehsas thi us fiza mein,
Chandani roshni mein
Chamakti sunahri reton pe
Samandar k  sang lehrein bhi
Athkheliyan karne lagi.




Viraan hui us raat mein bhi
Sitaaron ki timtimahat bhar gai,
Raat ki gehrai mein
Chand ne bhi  karwatein badali.

~ Swati Kumari "swatz"


Monday, 20 May 2013

The Dark Night (Hindi)


 


Log to khushiyon k
 aanshu bahate hain,
aur hame dekho..
apni barbadiyo pe bhi
 ailaane jhasn karte hai.
  
Hame to intezar hai
is ghani raat ke khatam hone ki,
khoobsurat subah ki
pahli kiran ko dekhne ki;

Par kambakht subah hone se
pahle hi aankh lag jati hai,
aur khulti hai fir talash mein
raat k andheri galiyon ki
.

Machis ki tiliyan..
 bujhh jati hain yaha,
mashal bhi to milti nhi.


~ Swati Kumari "swatz"