Monday 16 April 2012

remembering you in a rainy night..!! (hindi)


Aaj mausam bada suhana tha,
ye dil mera shayrana tha...
Aaj is baarish mein..
bheeg jane ka mann tha,
Par afsos , humsafar na sang tha.

Mann mein kasak..
 dil mein ek tees hui,
Akele baarish ki girti boondo ko dekhti rahi..
Tabhi......
 ek hawa k jhonke k sath baarish mujhe bheego gai.

Un thandhi hawaon sang ...
barish ki boondon ne,
dil ko chukar kaha....
“door se aya paigaam hai,
 tumhare kisi khaas ka...”
Or tumhare paas hone ka ehshas kara gaya.

Sath bitaye lamhein fir yaad aa gaye...
Door ho kar bhi hum paas aa gaye,

Labon ki hansi pe tum chaa gaye..!!

~ Swati Kumari "swatz"

No comments:

Post a Comment