Saturday, 17 January 2015

Aae mere dil akhir tujhe hua kya hai?

Har baar poochha maine
apne uljhe huye mann se,
Pareshan kyun hai
akhir teri raza kya hai?

Labon ki hansi ban
tu chhaya rehta hai,
par kabhi bheed mein bhi
na jaane kaha kho jata hai?

Tanha hone pe tu
kahin gumsum milta hai,
Aae - mere - dil
akhir tujhe hua kya hai?

Friday, 31 January 2014

Tujhe kaise yaad na karun? [Hindi]


Kaise na yaad karun tujhe main
Meri har subah tujhse thi,
Tuhi to meri pyari si neend thi.

Mera har khwab tujhse hai
Mere har khayal mein tu hai,
Kaise karun tujhse juda khud ko main ?

Har pal kaise chhipaun apne dard ko
Tujhse hi to keh pati thi,
Tera diya dard kissey kahun ab?

Tanhai mein apne anshu rokun kaise,
Tere chhor  jane ka gham main sahun kaise?

Apne seene mein huye
Gahre jhakham k dardko,
Bina maa tere
Sambhalun kaise?


Tuesday, 10 December 2013

Mujh mein kahin aj bhi zinda hai tu [Hindi]

Mujh mein kahin
aj bhi zinda hai tu,
Samandar ki lehron si
behti hai mujhmein tu.

Har pal thi
mere jeene ka maksad,
Aj bhi tere sapnon se
mujhe raah dikhati hai tu.

Tera wo atoot pyaar
har rag-har sans mein
samaya hai mujh mein,
Main to tera hi
ek hissa hun.

Mere har ladhkarakar
sambhle kadmo mein hai tu,
Kamzor padne pe
mere andar se aati
haunsale ki goonj hai tu.

Mere hansi-mere aansu mein
beete kal ki har yaad mein hai tu,
Mere aaj mein-mere ane wale kal mein
har pal mere sath hai tu.

Har us nanhi bachchi ka
hath thame khadi maa mein hai tu,
Apni beti ko gale lagaye
garv se muskurati maa mein hai tu.

Main to maa
tera hi ek hissa hun,
Mujh mein kahin
aj bhi zinda hai tu.



Friday, 6 December 2013

Pal Bhar k liye Seene se Laga lo (Hindi)

pal bhar k liye hi sahi
apne seene se laga lo

tapish jo hai mann ki
usey thodi thandhak de do

aanshuon ki wajah se bhi
mujhe hansna sikha do

tadpati meethi yaadon ki jagah
ab akele badhne ka haunsala de do

kisi k liye jeene ki wajah thi
ab auron k liye jeena sikha do

mushkurate huye mujhe
jeene ki ek aur wajah de do

(dedicated to my mom_love you maa)

~ Swati Kumari "swatz"

Tuesday, 19 November 2013

Andhere se door (Hindi)


Har baar koshish karti hun
Nikalne ki andheri galiyon se main,
Roshni ki ek jhalak jo dikhti hai
Umeed jagati kahin mere dil mein.

Par bhatakte  huye pahunch  jati hun
Retiley sooney raston pe
Jo aur bhi jyada gehri maloom hoti hain.

Ret  k bawandar to andhere se bhi
Jyada darawane lagte hain,
Ek aas hoti hai har baar mann mein
Par na jane kyun
door na ho paa rhi is andhere se.


~ Swati Kumari "swatz"

Tuesday, 15 October 2013

Dhuaan dhuaan si hai zindagi


Dhuaan dhuaan si hai zindagi
Thi jo aag wo hai bujhi hui,
Par chingari kahin koi abhi bhi baki hai
Khoi hui si hai
Par abhi bhi mashaal ka jalna baki hai

Ek zara sa hawa ka jhoka  bhi
Fir se Jaga dega usey,wo sulag jayegi,
Par yun aur andhere mein padi rhi
To bas raakh hi  bach payegi....

~ Swati Kumari "swatz"


Saturday, 17 August 2013

Tum



Ye kaisa ehsas hai,
Tere hone ki khusi hai
Par ek dard bhi sath hai.

Khud ko khokar teri duniya mein
Jannat ka ehsas hai,
Ek sihran, ek sukun hai,
Par door tujhse rehne ka
Dard ye bada khas hai.

Socha na tha ki ek pal mein koi
Mujhe khud se hi chura le jayegq,
Jab hua yun to laga
Raat bhar ka khwab hoga,
Par nhi, ye to hakikat hai
Na Jane ab kaise jiya jayega.


~ Swati Kumari "swatz"