Mujh mein kahin
behti hai mujhmein tu.
Har pal thi
mere jeene ka maksad,
Aj bhi tere sapnon se
mujhe raah dikhati hai
tu.
Tera wo atoot pyaar
har rag-har sans mein
samaya hai mujh mein,
Main to tera hi
ek hissa hun.
Mere har ladhkarakar
sambhle kadmo mein hai
tu,
Kamzor padne pe
mere andar se aati
haunsale ki goonj hai
tu.
Mere hansi-mere aansu
mein
beete kal ki har yaad
mein hai tu,
Mere aaj mein-mere ane
wale kal mein
har pal mere sath hai
tu.
Har us nanhi bachchi ka
hath thame khadi maa
mein hai tu,
Apni beti ko gale lagaye
garv se muskurati maa
mein hai tu.
Main to maa
tera hi ek hissa hun,
Mujh mein kahin
aj bhi zinda hai tu.
No comments:
Post a Comment