Tuesday, 10 December 2013

Mujh mein kahin aj bhi zinda hai tu [Hindi]

Mujh mein kahin
aj bhi zinda hai tu,
Samandar ki lehron si
behti hai mujhmein tu.

Har pal thi
mere jeene ka maksad,
Aj bhi tere sapnon se
mujhe raah dikhati hai tu.

Tera wo atoot pyaar
har rag-har sans mein
samaya hai mujh mein,
Main to tera hi
ek hissa hun.

Mere har ladhkarakar
sambhle kadmo mein hai tu,
Kamzor padne pe
mere andar se aati
haunsale ki goonj hai tu.

Mere hansi-mere aansu mein
beete kal ki har yaad mein hai tu,
Mere aaj mein-mere ane wale kal mein
har pal mere sath hai tu.

Har us nanhi bachchi ka
hath thame khadi maa mein hai tu,
Apni beti ko gale lagaye
garv se muskurati maa mein hai tu.

Main to maa
tera hi ek hissa hun,
Mujh mein kahin
aj bhi zinda hai tu.



Friday, 6 December 2013

Pal Bhar k liye Seene se Laga lo (Hindi)

pal bhar k liye hi sahi
apne seene se laga lo

tapish jo hai mann ki
usey thodi thandhak de do

aanshuon ki wajah se bhi
mujhe hansna sikha do

tadpati meethi yaadon ki jagah
ab akele badhne ka haunsala de do

kisi k liye jeene ki wajah thi
ab auron k liye jeena sikha do

mushkurate huye mujhe
jeene ki ek aur wajah de do

(dedicated to my mom_love you maa)

~ Swati Kumari "swatz"