Tuesday, 15 October 2013

Dhuaan dhuaan si hai zindagi


Dhuaan dhuaan si hai zindagi
Thi jo aag wo hai bujhi hui,
Par chingari kahin koi abhi bhi baki hai
Khoi hui si hai
Par abhi bhi mashaal ka jalna baki hai

Ek zara sa hawa ka jhoka  bhi
Fir se Jaga dega usey,wo sulag jayegi,
Par yun aur andhere mein padi rhi
To bas raakh hi  bach payegi....

~ Swati Kumari "swatz"


Saturday, 17 August 2013

Tum



Ye kaisa ehsas hai,
Tere hone ki khusi hai
Par ek dard bhi sath hai.

Khud ko khokar teri duniya mein
Jannat ka ehsas hai,
Ek sihran, ek sukun hai,
Par door tujhse rehne ka
Dard ye bada khas hai.

Socha na tha ki ek pal mein koi
Mujhe khud se hi chura le jayegq,
Jab hua yun to laga
Raat bhar ka khwab hoga,
Par nhi, ye to hakikat hai
Na Jane ab kaise jiya jayega.


~ Swati Kumari "swatz"

Sunday, 11 August 2013

Kuchh khas hai bas apki Khatir


Kuchh to khas hai chahat mei apki
Is baat ki to hame bhi khabar ho gai,
Jo aaj tak kisi ke liye
Ye dil kabhi  jhuka  tha nhi,
Na jane is kadar
Kar diya kaise mazboor is dil ko aapne,
Humne kabhi aisi saude bazi nhi ki
Par is bhanwar mein hame dal diya khoob aapne,
Ham to auron ko kehte rahe
Or hamare dil ne khud se kar li dagebazi,
Bas aapki khatir .
 
Aapne to yunhi
Badnam kar diya hamri nazron ko,
Sare aam karar kar liya
Iske kaatil hone ko,
Par uska kya
Jo apki nigaahon ne kiya,
Zulmi ne sataya itna
Ki ham unme na jane
kitna doobte chale gaye,
Utarte gaye un gehraiyon mei
Jaha se nikalna ab muskil ho gaya.

Milna tha ek khoobsurat se dil se
Jisne bina bataye hame kaid kar liya,
Koshish to ki bohot
Hamne nikane ki,
Par yun na asaan ab hua
Is pyari si duniya chhodne ki.

~ Swati Kumari "swatz"

Thursday, 8 August 2013

Tere Liye


Dhoondh rhi thi barson jise
Tu  shayad hai wahi,
Lamho ne chhipa rakha tha kahin
Par mera naam to judna tha tere sang hi.

Kal tak to ek khwab thay tum
Haqiqat ban aaj jo saamne aya hai,
Ek khayal meri shayari mein thay
Ab us shayari ko ek naam mila hai.

Meri palkon ka jo neend tha
Na Jane kab tumne chura liya,
Sab se chhipa kar
Ek tasveer niharna bhi tumne sikha diya.

Ek shararat hai tumhari hansi mein
Nigahon mein thodi masoomiyat bhi hai,
Kuchh to hai udhar bhi
Warna dil k har ek dhadkan ki khabar
Tumhe kaise hai.


~ Swati Kumari "swatz"

Wednesday, 24 July 2013

Ishq Tera [Hindi]

Labon pe tera naam na aa saka
Na hi nigahon se koi falsafa bayan hua
Paani ka wo akhiri boond hai tu,
Jiska wazood to hai
Par kabhi wo pyase ko naseeb na ho saka .

Madmast hawa ka jhoka hai tu
Jise gulaab se mohabbat to thi,
Par siwa uski mehak ke
Gulaab ko poora kabhi na pa saka .

Na koi ruswa na shikayat rhi koi
Aur na hi samajhh sake kabhi hum,
Us darmiyan ki dastan kya thi?
Wo poochha gaya sawal kya tha?
Us sawal ka mila jawaab ' han' kyun tha?
Nadaan dilon ki guftagu kyun thi ?

Wo na to raat ka ek khwaab tha
Na hi kitaabon mein likhi
pariyon ki dastan  hi thi.
Na us se pahle ,na fir kabhi
Apne dil ki suni,
Ek mauka diya tha
Aur ek baar mein hi dil haar baithe.

Humne to dua ki ti ki
Tumhari sari duayein kabool ho jayein,
Par tumhari dua mein shayad koi kami thi
Jo kisi or ne mujhe apni dua mein maang liya
Aur dua bhi uski kabool ho gai.

~ Swati Kumari "swatz"

Wednesday, 3 July 2013

Made my life a CHOICE.. ( English)




I made my life a CHOICE..
It is not a COMPROMISE.

I am a weaver of my DREAMs..
..an artist to portrait my LIFE,

Made it a REASON to LIVE
..a CAUSE to SMILE,

I am a HERO of my own story
..a SIRIUS in the night sky,

I row my boat in the SEA
..in search of the magical ISLAND,

Dive the DEEP inside ocean
..Mysterious woods are my EXCURSION.

~ Swati Kumari "swatz"

Friday, 21 June 2013

Sorry,Can't loose myself (Hindi)




Jamane bhar ki duhaai
Tum sab mujhe dete rahe,
Apne khwaabon or armaano ka
Khoon karne ko mujhe
majboor karte rahe.

 Mere khwaab hi to meri rooh hain
Bina rooh bhi kya koi zindagi hai?
Par is bezaan-bezubaan ko hi dekh
Tum sab khush hote rahe.
 
Meri rooh ne jane se pahle
Ek vada  liya tha  mujhse..
“meri is badi bhool ko bhi
Ek mauka degi wo,
Kya kuchh kho diya tha
Wapas pana hai mujhe,”
Ehsas hone pe mujhe
Laut kar ayegi fir se.
 
Tum sab ki khatir us waqt
Apna hi katle-aam kiya tha maine,
Ek baar fir se jeena hai mujhe..
Ab nhi hai fikr tumhare is jamane ki
Ek maut ho chuki thi, Par ab
Ye zindagi par bas mera haq hai.

Chaho to tum ashq baha lena
Mujhe khone ka gham mana lena ,
Waqt k sath meri maiyat bhi
Tumm sab bhool jaoge,
Par bhala khud ko khokar
Main kaise jee pati..?

~ Swati Kumari "swatz"