Saturday, 17 August 2013

Tum



Ye kaisa ehsas hai,
Tere hone ki khusi hai
Par ek dard bhi sath hai.

Khud ko khokar teri duniya mein
Jannat ka ehsas hai,
Ek sihran, ek sukun hai,
Par door tujhse rehne ka
Dard ye bada khas hai.

Socha na tha ki ek pal mein koi
Mujhe khud se hi chura le jayegq,
Jab hua yun to laga
Raat bhar ka khwab hoga,
Par nhi, ye to hakikat hai
Na Jane ab kaise jiya jayega.


~ Swati Kumari "swatz"

Sunday, 11 August 2013

Kuchh khas hai bas apki Khatir


Kuchh to khas hai chahat mei apki
Is baat ki to hame bhi khabar ho gai,
Jo aaj tak kisi ke liye
Ye dil kabhi  jhuka  tha nhi,
Na jane is kadar
Kar diya kaise mazboor is dil ko aapne,
Humne kabhi aisi saude bazi nhi ki
Par is bhanwar mein hame dal diya khoob aapne,
Ham to auron ko kehte rahe
Or hamare dil ne khud se kar li dagebazi,
Bas aapki khatir .
 
Aapne to yunhi
Badnam kar diya hamri nazron ko,
Sare aam karar kar liya
Iske kaatil hone ko,
Par uska kya
Jo apki nigaahon ne kiya,
Zulmi ne sataya itna
Ki ham unme na jane
kitna doobte chale gaye,
Utarte gaye un gehraiyon mei
Jaha se nikalna ab muskil ho gaya.

Milna tha ek khoobsurat se dil se
Jisne bina bataye hame kaid kar liya,
Koshish to ki bohot
Hamne nikane ki,
Par yun na asaan ab hua
Is pyari si duniya chhodne ki.

~ Swati Kumari "swatz"

Thursday, 8 August 2013

Tere Liye


Dhoondh rhi thi barson jise
Tu  shayad hai wahi,
Lamho ne chhipa rakha tha kahin
Par mera naam to judna tha tere sang hi.

Kal tak to ek khwab thay tum
Haqiqat ban aaj jo saamne aya hai,
Ek khayal meri shayari mein thay
Ab us shayari ko ek naam mila hai.

Meri palkon ka jo neend tha
Na Jane kab tumne chura liya,
Sab se chhipa kar
Ek tasveer niharna bhi tumne sikha diya.

Ek shararat hai tumhari hansi mein
Nigahon mein thodi masoomiyat bhi hai,
Kuchh to hai udhar bhi
Warna dil k har ek dhadkan ki khabar
Tumhe kaise hai.


~ Swati Kumari "swatz"